Heading 3

Mohit K Dixit

 Entertainment

may 17, 2024

10 poetic lines cited by Farhan Akhtar 

Ik baat honton tak hai jo aayi nahin
Bas ankhon say hai jhaankti
Tumse kabhi, mujhse kabhi
Kuch lafz hain woh maangti

#1 

 Image: Farhan Akhtar’s Instagram

Pighlay neelam sa behta hua yeh samaan
Neeli neeli si khamoshiyaan
Na kahin hai zameen
Na kahin aasmaan
Sarsaraati huyi tehniyaan, pattiyaan
Keh rahi hain ki bas ek tum ho yahaan
Sirf main hoon meri saansein hain aur meri dhadkanein
Aisi gehraiyaan
Aisi tanhaiyaan
Aur main sirf main
Apne honay pe mujhko yaqeen aa gaya 

#2

 Image: Farhan Akhtar’s Instagram

Dilon mein tum apni
Betaabiyan leke chal rahe ho
Toh zinda ho tum

#3

 Image: Farhan Akhtar’s Instagram

Hawa ke jhokon ke jaise
Aazad rehno sikho
Tum ek dariya ke jaise
Lehron mein behna sikho

#4

 Image: Farhan Akhtar’s Instagram

Jab jab dard ka baadal chaya
Jab ghum ka saya lehraya
Jab aansoo palkon tak aya
Jab yeh tanha dil ghabraya
Humne dil ko yeh samjhaya
…Dil aakhir tu kyun rota hai
Duniya mein yunhi hota hai

#5

 Image: Farhan Akhtar’s Instagram

Yeh jo gehre sannate hain
Waqt ne sabko hi baante hain
Thoda ghum hai sabka qissa
Thodi dhoop hai sabka hissa

#6

 Image: Farhan Akhtar’s Instagram

Aankh teri bekaar hi nam hai
Har pal ek naya mausam hai
Kyun tu aise pal khota hai
Dil aakhir tu kyun rota hai

 Image: Farhan Akhtar’s Instagram

#7

Na Kisi Ki Aankh Ka Noor Hoon
Na Kisi Ke Dil Ka Qaraar Hoon
Kasi Kaam Mein Jo Na Aa Sake Main Wo Ek Musht-E-Ghubaar Hoon 

 Image: Farhan Akhtar’s Instagram

#8

Mera Waqt Mujh Se Bichhad Gaya Mera Rang-Rup Bigad Gaya
Jo Khizan Se Bagh Ujad Gaya Main Usi Ki Fasl-E-Bahaar Hun

#9

 Image: Farhan Akhtar’s Instagram

Pae Fatiha Koi Aae Kyun Koi Chaar Phul Chadhae Kyun
Koi Aa Ke Shama Jalae Kyun Main Wo Bekasi Ka Mazar Hun 

#10

 Image: Farhan Akhtar’s Instagram

For more updates, follow Pinkvilla.

Click Here